Bina Mobile Ke Laptop Me Whatsapp Kaise Chalaye

PC OR LAPTOP PAR WHATSAPP KAISE CHALAYE (FULL GUIDE IN HINDI)

Aapne PC Par WhatsApp use Karne ke bare me to sauna hoga. Ya Aapne Kabhi apne friends ko PC ya Leptop par whatsapp chalate hue dekha hoga or aap bhi chahte hain ki aap PC Par WhatsApp chalaye, To yeh koi Mushkil kaam nahi hai.. Aap ekdum easy tarike se or kuch hi time me Apne Whatsapp ko apne pc ya leptop par jod sakte ho..

Whatsapp ko pc par connect karne ka kaam sirf Chrome Browser se hai, or Chrome browser se iss address ko open karna hota hai – Web.whatsapp.com

Isliye,

Aaj iss post me main aapko yahi btauga ki Apne Phone se Pc par Whatsapp kaise chalaye.. Yeh aap kuch hi simple si steps me kar sakte ho..

Read ➡ Whatsapp Web Ke Bare Me Jankari

➡Whatsapp Massages Ko Schedule Karne Ka Tarika

To Chaliye Jante Hain Ki Pc Par Whatsapp Kaise Chalaye –

Iske liye aap meri btai Steps ko Follow karo ➡

Step 1 ➡

-Sabse pehle aap yeh check kare ki aapka whatsapp latest update ho, kyuki jyada din whatsapp ko update na karne par ‘Whatsapp Web‘ ka feature kho sakta hai, ya show nahi hota..

Step 2 ➡

– Iske baad aap apne pc par Chrome Browser se yeh web address open kare –

web.whatsapp.com

Step 3 ➡

Ab aapke pc ki screen par ek code aa jaega, Jisko QR CODE kehte hain..

Step 4 ➡

– Ab aap apne phone me whatsapp open kare or menu par jakar ‘Whatsapp Web’ ke feature par click kare..

Step 5 ➡

– Whatsapp Web ke feature par click karte hi aapke Whatsapp ke sath phone ka camera open ho jaega.. Yeh QR CODE ko scane karne ke liye hota hai, isliye Aap camera ko apne pc par show ho rahe QR CODE ke pass lejakar usko scane karwaye..

Read Also ➡ 1 Phone me 2 whatsapp chalane ka simple tarika

Note  :-  QR Code kuch time baad expire ho jata hai, isliye jaldi connect karwaye. Expire ho jane par Same process phir se repeat kare.

– Ab QR CODE scane hote hi aapka kaam bann jaega,or pc par whatsapp connect ho jaega.. Ab aap pc par whatsapp chala sakte ho..

Note  :- Dhyaan rahe ki jab tak aapke phone me whatsapp open hain tab tak hi pc par whatsapp chalega. Phone me whatsapp close karte hi pc se bhi whatsapp disconnect ho jaega. Isliye jitne bhi time pc par whatsapp chalaye, utne time phone me bhi whatsapp on rakhe…

Log Out Karne Ka Tarika ➡

Apne account ki security ke liye use karne ke baad usko Log Out karna na bhule..

Use karne ke baad Log out karne ke aapke pass 2 option hain – 1) Pc se log out karna, or 2) Phone me log out karna..

1) Pc se log out karne ke liye aapko Upar Menu par click karna hoga. Aapko menu me Log out ka option milega, uspar click karke aap Log Out kar sakte hain..

2) Mobile se Log Out karne ka option aapko Whatsapp Web Feature me milega. Isliye Whatsapp Web ko open karke aap apne phone se Log Out Kar sakte hain..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *